Sunday, December 5, 2010

Roznaamcha(dinachari)- Ek subah



Ek subah
 
Kabhi Kabhi din ki subah kuch zyaadi hi jaldi ho jaati hai mere liye,na jaane kyun suraj ki who pehli kiran ko meri kamre ki khitki se dekhne ka bahut jee chahtha hai,who bhi jab,tab neend zaroorat se zyaada sochne se chutkaara pane ke liye kee gayi ho toh.bas dheere se aakhen kholna aur ek nayi subah ki umeed main jaagne ka man kiya toh,suraj ki kirane ek taazgi laa deti hai,who toh mere liye umeed ke maseehon ki tarah lagte hain,kyun na ho, andheron ko cheerke humaare liye subah laate hai..chey baje tayyar hokar walk se zyaada band darwaazon se baahar chalne ka man karta hai.panchiyon ki aawaaz,aur suraj ki uthna aur in sabh main aasman ka rang,waah bhai waah,kisi bhi raat ke baad subah zaroori lag jaata hai..

Ravivar toh hum sabhee ko hota hai,bechaare paper denewale aur doodh denewaale ke siva,hum log toh bhool hi jaate hai,ki humaari Sunday special edition newspaper ke liye toh unhe baaki din ke tarah hi subah suraj uthne se pehle kaam shuru karna padta hai.ravivar hai,iska matlab yeh thodi na hai ki log apni vyayaam ko chutti de,so who logo bhi ramp par utar lete hai!ha yeh baat hai ki,us din kaaryasthal maane office hai janaab,unki bhaagam bhaag nahi hoti hai,toh ghar ki auroton ne shanivaar raat hi man bana liye honge ki kal toh ravivaar hai,aadha ghanta zyaada so sakte hai,bachon ko tayaar karne ke jhanjhat nahi hota,unki box,pati ke files..uff ravivar aakhir mere liye bhi hona chaahiye..yun chalta rehta hain unke man ka rail gaadi.arey yeh sab is liye keh rahe hai kyunki agar us din subah baahar nikalte he toh rasoi ki light nahi jal rahi hogi 6 bhaje,aur aangan bhi suna hoga,raste par toh aise sannaata chaayi hogi ki khud aapko shak hone lagega ki kya yeh meri hi shehar ki gali hai,hai raam,scooter,car aur toh aur buses ke bhi chutti hogi.gaadiyon ko goli maaro main toh chaahthi hu yeh kambhaqt  cell phone ko bhi ek subah ki chutti dena chaahiye,bechaara roz subah who bhi suraj se pehle uth jaata hai,jor se alarm bajaa kar!

Chalo in sabko man main liptaate thak jaate hain toh universal shaanthi van!park road ki taraf nikal padte hai.gate ke saamne “herbal chai”waala aapko ek muskaan de kar aapke swaagat karta hai,toh hume bhi lautaana padta hai.mujhe toh lagta hai ki use cid main bharthi karwaana chaahiye,bhai subah agar saara shehar ka news agar kisi ke paas hota hai toh sirf wahi sahib honge,aur toh aur kuch log hai jo unke param mitr hai,park main zyaada se zyaada do round lagaa kar chai waale ki agal bagal main apne apne sthaan ko alankrit kar lete hai,aur wahi saare log hai jo kuch samay baad park main aanewaale sabhi logon ki swaagat karte hai.aur abhi cid ki baat,chai waale se saari khabren sun kar woh cases solve karne lagta hai,aur toh aur government  ke bhi diplomatic decision ve hi lene lagte hai.sach main parliament sessions toh chai ke dukaan par kar shift lena chahiye,aakhir faisle toh khule aam honge, sacha jamhuriat maane democracy ka true spirit!!

Aur ek daud lagaate lagaate ek hamwaar jage pahunch jaate hai,toh bhai zaahir ho jaate hai hansi ke doctors!maane laughter club,bas man main ek hi khayaal aata hain,kya din bhar who haseen hoton par lagaa kar rakhenge?!khuda jaane.phir se daudne par milta hai za’eef logon ki adaalat,ek doosre ki ghar ki,bahuwon ki,pota potiyon ki,bachon ki aur aakhir main uth the samay apne sehat ki.sach main naahi main prejudice huyi hu naahi ha chori chupe sabhi ke baatein sunthi hu,bas baahar ki shor itna hota hai ki man ki khamoshi bhi dar jaata hai.sach main man toh kabhi khaamosh hoti hi nahi kyunki itna sab kuch toh sochthi rehthi hai.par sach main roz chahthi hu ki bhai aaj toh log subah ka sirf maze le,arey aisa saubhaagya kahaa,duniya ek bazaar ki tarah hota hai,aur shareer ke tarah aakhirkaar zabaan ko bhi vyayaam ki zaroorat hoti hai,mujse pooche toh kahoongi miya zabaan ko vyayaam ki nahi kuch pal aaraam ki zaroorat hoti hai!aur agar seedhi baaton main kahen toh roz subah main bhi chahthi hu ki yeh saari soch badle aur baaton ki dhang kuch alag hi ho..kaash sach ho jaata!aur toh aur ghor yaane seedhi baat main kahe toh meditation karne baith bhi jaaye toh man toh chupa rustum hai,khayaal yeh hota hai ki who apna swasthaan par hai,par woh toh kab ka ser ke liye nikal chuki  hogi.tab tak itna waqt dhal chukka hoga ki dimaag aur peth dono chillaa chillaa kar bataa rahe honge abbey chal uthna bahut hogaya yeh falsafa yaane tatwa jnaan bas chai peen ka waqt ho gaya,toh chalo hum bhi nikal padte hai humaare parliament ki taraf!subha ba-khair....